Waqt e Husn
Waqt tham k tujhe nihaarta nazar aaya,
Khuda k Ghar me Iblis phir nazar aaya,
Suna hai husn tha Hawwa Adam pe bhaari,
Khuda ki nafarmani kar k bhi na pachtayaa
Tamam Duniya qaid me hai us lamhe ki
Jab husn ne Ishq ko lamhe ko behkaaya
Aaj khud Waqt tere husn ki giraft me aaya
Waqt tham k tujhe nihaarta nazar aaya.
Comments
Post a Comment